yaar ne is dil-e-naacheez ko behtar jaana
daagh ko phool to qatre ko samundar jaana
kat gaye dekhte hi ham to tiri chashm-e-ghazab
jumbish-e-abroo-e-khamdaar ko khanjar jaana
sach hai yaksaan hai adam aur wujood-e-duniya
aise hone ko na hone ke barabar jaana
aankh ham baada-kashon se na mila ai jamshed
apne chullu ko tire jaam se badh kar jaana
kab zamaane mein hai mohtaaj-e-makaan khaana-kharaab
ho gai dil mein kisi ke jo jagah ghar jaana
samjhe jauhar ko bura us ki shikaayat kya hai
wahi achha hai jise aap ne behtar jaana
यार ने इस दिल-ए-नाचीज़ को बेहतर जाना
दाग़ को फूल तो क़तरे को समुंदर जाना
कट गए देखते ही हम तो तिरी चश्म-ए-ग़ज़ब
जुम्बिश-ए-अबरू-ए-ख़मदार को ख़ंजर जाना
सच है यकसाँ है अदम और वजूद-ए-दुनिया
ऐसे होने को न होने के बराबर जाना
आँख हम बादा-कशों से न मिला ऐ जमशेद
अपने चुल्लू को तिरे जाम से बढ़ कर जाना
कब ज़माने में है मोहताज-ए-मकाँ ख़ाना-ख़राब
हो गई दिल में किसी के जो जगह घर जाना
समझे 'जौहर' को बुरा उस की शिकायत क्या है
वही अच्छा है जिसे आप ने बेहतर जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Rose Shayari Shayari