gulzaar mein jo door gul-e-laala-rang ho
vo be-hijaabiyaan hon ki nargis bhi dang ho
sayyaad o baagbaan mein bahut hoti hai salaah
aisa na ho kahi gul o bulbul mein jang ho
afsos maut bhi nahin aati shab-e-firaq
vo kya kare gareeb jo jeene se tang ho
kaafi hai boriya hi faqeeron ke vaaste
maayub hai jo sheron ke ghar mein palang ho
ladne ko dil jo chahe to aankhen ladaaiye
ho jang bhi agar to mazedaar jang ho
jo dost hain vo maangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
koi mare kisi ko khushi ho khuda ki shaan
maatam kisi jagah ho kahi naach-rang ho
गुलज़ार में जो दूर गुल-ए-लाला-रंग हो
वो बे-हिजाबियाँ हों कि नर्गिस भी दंग हो
सय्याद ओ बाग़बाँ में बहुत होती है सलाह
ऐसा न हो कहीं गुल ओ बुलबुल में जंग हो
अफ़्सोस मौत भी नहीं आती शब-ए-फ़िराक़
वो क्या करे ग़रीब जो जीने से तंग हो
काफ़ी है बोरिया ही फ़क़ीरों के वास्ते
मायूब है जो शेरों के घर में पलंग हो
लड़ने को दिल जो चाहे तो आँखें लड़ाइए
हो जंग भी अगर तो मज़ेदार जंग हो
जो दोस्त हैं वो माँगते हैं सुल्ह की दुआ
दुश्मन ये चाहते हैं कि आपस में जंग हो
कोई मरे किसी को ख़ुशी हो ख़ुदा की शान
मातम किसी जगह हो कहीं नाच-रंग हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Dua Shayari Shayari