ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko
jab khaak hua main to hawa le gai mujh ko
koson may-e-gulgoo'n ki hawa le gai mujh ko
ye laal pari ghar se uda le gai mujh ko
muddat se na milti thi kahi raah adam ki
us shokh ke kooche mein qaza le gai mujh ko
tha zof mein sauda kisi sahra-e-junoon ka
vehshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko
jauhar taraf-e-koocha-e-jaanaan jo gaya main
kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko
ता-दश्त-ए-अदम आह-ए-रसा ले गई मुझ को
जब ख़ाक हुआ मैं तो हवा ले गई मुझ को
कोसों मय-ए-गुलगूँ की हवा ले गई मुझ को
ये लाल परी घर से उड़ा ले गई मुझ को
मुद्दत से न मिलती थी कहीं राह अदम की
उस शोख़ के कूचे में क़ज़ा ले गई मुझ को
था ज़ोफ़ में सौदा किसी सहरा-ए-जुनूँ का
वहशत मिरे घर आ के बुला ले गई मुझ को
'जौहर' तरफ़-ए-कूचा-ए-जानाँ जो गया मैं
क्या जाने किधर की ये हवा ले गई मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Ghar Shayari Shayari