kya yaad kar ke rooun ki kaisa shabaab tha
kuchh bhi na tha hawa thi kahaani thi khwaab tha
ab itr bhi malo to takalluf ki boo kahaan
vo din hawa hue jo paseena gulaab tha
mahmil-nasheen jab aap the leila ke bhes mein
majnoon ke bhes mein koi khaana-kharaab tha
tera qusoor-waar khuda ka gunaahgaar
jo kuchh ki tha yahi dil-e-khaana-kharaab tha
zarra samajh ke yun na mila mujh ko khaak mein
ai aasmaan main bhi kabhi aftaab tha
क्या याद कर के रोऊँ कि कैसा शबाब था
कुछ भी न था हवा थी कहानी थी ख़्वाब था
अब इत्र भी मलो तो तकल्लुफ़ की बू कहाँ
वो दिन हवा हुए जो पसीना गुलाब था
महमिल-नशीं जब आप थे लैला के भेस में
मजनूँ के भेस में कोई ख़ाना-ख़राब था
तेरा क़ुसूर-वार ख़ुदा का गुनाहगार
जो कुछ कि था यही दिल-ए-ख़ाना-ख़राब था
ज़र्रा समझ के यूँ न मिला मुझ को ख़ाक में
ऐ आसमान मैं भी कभी आफ़्ताब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Gulaab Shayari Shayari