barsaat ka maza tire gesu dikha gaye | बरसात का मज़ा तिरे गेसू दिखा गए - Lala Madhav Ram Jauhar

barsaat ka maza tire gesu dikha gaye
aks aasmaan par jo pada abr chha gaye

aaye kabhi to saikron baatein suna gaye
qurbaan aise aane ke kya aaye kya gaye

sun paai meri aablaa-paai ki jab khabar
chaaron taraf vo raah mein kaante bichha gaye

hum vo nahin sunen jo buraai huzoor ki
ye aap the jo gair ki baaton mein aa gaye

main ne jo takhliya mein kaha haal-e-dil kabhi
munh se na kuch jawaab diya muskuraa gaye

बरसात का मज़ा तिरे गेसू दिखा गए
अक्स आसमान पर जो पड़ा अब्र छा गए

आए कभी तो सैकड़ों बातें सुना गए
क़ुर्बान ऐसे आने के क्या आए क्या गए

सुन पाई मेरी आबला-पाई की जब ख़बर
चारों तरफ़ वो राह में काँटे बिछा गए

हम वो नहीं सुनें जो बुराई हुज़ूर की
ये आप थे जो ग़ैर की बातों में आ गए

मैं ने जो तख़लिया में कहा हाल-ए-दिल कभी
मुँह से न कुछ जवाब दिया मुस्कुरा गए

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari