shauq se dil ko tah-e-tegh-e-nazar hone do | शौक़ से दिल को तह-ए-तेग़-ए-नज़र होने दो

  - Lala Madhav Ram Jauhar

shauq se dil ko tah-e-tegh-e-nazar hone do
jis taraf us ki tabeeyat hai udhar hone do

dil ki kya asl hai patthar bhi pighal jaayenge
ai buto tum mere naalon mein asar hone do

gair to rahte hain din raat tumhaare dil mein
kabhi is ghar mein hamaara bhi guzar hone do

naaseho ham to khareedenge mata-e-ulfat
tum ko kya faaeda hota hai zarar hone do

valvale agli mohabbat ke kahaan se laayein
aur paida koi dil aur jigar hone do

chhedne ko mere darbaan kaha karte hain
thehro jaldi na karo un ko khabar hone do

kyun maza dekh liya dil ki kashish ka tum ne
ham na kahte the mohabbat mein asar hone do

ai shab-e-wasl-o-shab-e-aish-e-jawaani thehro
main bhi hamraah tumhaare hoon sehar hone do

ranj o raahat hai bashar hi ke liye ai jauhar
vo bhi din dekh liye yun bhi basar hone do

शौक़ से दिल को तह-ए-तेग़-ए-नज़र होने दो
जिस तरफ़ उस की तबीअत है उधर होने दो

दिल की क्या अस्ल है पत्थर भी पिघल जाएँगे
ऐ बुतो तुम मिरे नालों में असर होने दो

ग़ैर तो रहते हैं दिन रात तुम्हारे दिल में
कभी इस घर में हमारा भी गुज़र होने दो

नासेहो हम तो ख़रीदेंगे मता-ए-उल्फ़त
तुम को क्या फ़ाएदा होता है ज़रर होने दो

वलवले अगली मोहब्बत के कहाँ से लाएँ
और पैदा कोई दिल और जिगर होने दो

छेड़ने को मिरे दरबान कहा करते हैं
ठहरो जल्दी न करो उन को ख़बर होने दो

क्यूँ मज़ा देख लिया दिल की कशिश का तुम ने
हम न कहते थे मोहब्बत में असर होने दो

ऐ शब-ए-वस्ल-ओ-शब-ए-ऐश-ए-जवानी ठहरो
मैं भी हमराह तुम्हारे हूँ सहर होने दो

रंज ओ राहत है बशर ही के लिए ऐ 'जौहर'
वो भी दिन देख लिए यूँ भी बसर होने दो

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari