the nivaale motiyon ke jin ke khaane ke liye | थे निवाले मोतियों के जिन के खाने के लिए

  - Lala Madhav Ram Jauhar

the nivaale motiyon ke jin ke khaane ke liye
firte hain muhtaaj vo ik daane daane ke liye

sham'a jalvaate hain ghairoon se vo meri qabr par
ye nayi soorat nikaali hai jalane ke liye

dair jaata hoon kabhi kaaba kabhi soo-e-kunist
har taraf firta hoon tere aastaane ke liye

haath mein le kar gilauri mujh ko dikhla kar kaha
munh to banwaaye koi is paan khaane ke liye

ai falak achha kiya insaaf tu ne waah waah
ranj mere vaaste raahat zamaane ke liye

थे निवाले मोतियों के जिन के खाने के लिए
फिरते हैं मुहताज वो इक दाने दाने के लिए

शम्अ जलवाते हैं ग़ैरों से वो मेरी क़ब्र पर
ये नई सूरत निकाली है जलाने के लिए

दैर जाता हूँ कभी काबा कभी सू-ए-कुनिश्त
हर तरफ़ फिरता हूँ तेरे आस्ताने के लिए

हाथ में ले कर गिलौरी मुझ को दिखला कर कहा
मुँह तो बनवाए कोई इस पान खाने के लिए

ऐ फ़लक अच्छा किया इंसाफ़ तू ने वाह वाह
रंज मेरे वास्ते राहत ज़माने के लिए

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari