husn par zeba nahin ye lan-taraani aap ki | हुस्न पर ज़ेबा नहीं ये लन-तरानी आप की

  - Lala Madhav Ram Jauhar

husn par zeba nahin ye lan-taraani aap ki
chaar din ki chaandni hai naujawaani aap ki

ham bhi kuchh munh se jo kah baitheen to phir kitni rahe
dekhiye achhi nahin ye bad-zabaani aap ki

kuchh samajh mein haal ye aata nahin hairaan hoon
aaj hai kaisi ye mujh par meherbaani aap ki

baaz aaye ham ye apna-aap challa leejie
har kisi ke haath mein hai ab nishaani aap ki

raah mein bhi dekh kar munh fer lete hain huzoor
aaj kal hai kis qadar na-mehrbaani aap ki

do ghadi ik rang par qaaim nahin husn-e-shabaab
kya musavvir kheeche tasveer-e-jawaani aap ki

aab-e-haiwaan hai kahi zahar-e-halaahal hai kahi
talkh-goi aap ki sheerin-zabaani aap ki

khwaab mein ham ko na aane dete to ham jaante
ki raqeebon ne ye kaisi paasbaani aap ki

apne marne ka nahin gham ranj hai is baat ka
aaj ungli se utarti hai nishaani aap ki

haal-e-dil sunte nahin ye kah ke khush kar dete hain
phir kabhi furqat mein sun lenge kahaani aap ki

ham ko ye daulat kabhi milti to ham bhi jaante
hogi jis ke vaaste hogi jawaani aap ki

हुस्न पर ज़ेबा नहीं ये लन-तरानी आप की
चार दिन की चाँदनी है नौजवानी आप की

हम भी कुछ मुँह से जो कह बैठें तो फिर कितनी रहे
देखिए अच्छी नहीं ये बद-ज़बानी आप की

कुछ समझ में हाल ये आता नहीं हैरान हूँ
आज है कैसी ये मुझ पर मेहरबानी आप की

बाज़ आए हम ये अपना-आप छल्ला लीजिए
हर किसी के हाथ में है अब निशानी आप की

राह में भी देख कर मुँह फेर लेते हैं हुज़ूर
आज कल है किस क़दर ना-मेहरबानी आप की

दो घड़ी इक रंग पर क़ाएम नहीं हुस्न-ए-शबाब
क्या मुसव्विर खींचे तस्वीर-ए-जवानी आप की

आब-ए-हैवाँ है कहीं ज़हर-ए-हलाहल है कहीं
तल्ख़-गोई आप की शीरीं-ज़बानी आप की

ख़्वाब में हम को न आने देते तो हम जानते
की रक़ीबों ने ये कैसी पासबानी आप की

अपने मरने का नहीं ग़म रंज है इस बात का
आज उँगली से उतरती है निशानी आप की

हाल-ए-दिल सुनते नहीं ये कह के ख़ुश कर देते हैं
फिर कभी फ़ुर्सत में सुन लेंगे कहानी आप की

हम को ये दौलत कभी मिलती तो हम भी जानते
होगी जिस के वास्ते होगी जवानी आप की

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari