ham na chhodenge mohabbat tiri ai zulf-e-siyaah | हम न छोड़ेंगे मोहब्बत तिरी ऐ ज़ुल्फ़-ए-सियाह

  - Lala Madhav Ram Jauhar

ham na chhodenge mohabbat tiri ai zulf-e-siyaah
sar chhadaaya hai tu kya dil se giraayein tujh ko

chhod kar ham ko mila sham'rukhon se ja kar
isee qaabil hai tu ai dil ki jalaaen tujh ko

dard-e-dil kahte hue bazm mein aata hai hijaab
takhliya ho to kuchh ahvaal sunaayein tujh ko

apne maashooq ki sunta hai buraai koi
kyun na ham bigdein jo aghyaar banaayein tujh ko

roothta hoon jo kabhi main to ye kehta hai vo shokh
kya garz ham ko padi hai jo manaae tujh ko

tu ne aghyaar se aaina manga kar dekha
dil mein aata hai ki ab munh na dikhaayein tujh ko

हम न छोड़ेंगे मोहब्बत तिरी ऐ ज़ुल्फ़-ए-सियाह
सर चढ़ाया है तू क्या दिल से गिराएँ तुझ को

छोड़ कर हम को मिला शम्अ-रुख़ों से जा कर
इसी क़ाबिल है तू ऐ दिल कि जलाएँ तुझ को

दर्द-ए-दिल कहते हुए बज़्म में आता है हिजाब
तख़लिया हो तो कुछ अहवाल सुनाएँ तुझ को

अपने माशूक़ की सुनता है बुराई कोई
क्यूँ न हम बिगड़ें जो अग़्यार बनाएँ तुझ को

रूठता हूँ जो कभी मैं तो ये कहता है वो शोख़
क्या ग़रज़ हम को पड़ी है जो मनाएँ तुझ को

तू ने अग़्यार से आईना मँगा कर देखा
दिल में आता है कि अब मुँह न दिखाएँ तुझ को

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari