us ka mizaaj poocho jo har waqt paas hai | उस का मिज़ाज पूछो जो हर वक़्त पास है - Lala Madhav Ram Jauhar

us ka mizaaj poocho jo har waqt paas hai
us ki bala se dil jo hamaara udaas hai

poshaak se badan ki tajalli hai aashkaar
faanoos-e-sham-e-toor tumhaara libaas hai

dil tod kar vo nashshe mein kahte hain naaz se
kis kaam ka raha hai ye toota gilaas hai

farmaiye mizaaj-e-mubaarak hai kis tarah
kuch khair to hai kis liye chehra udaas hai

muddat ke baad aaj to tanhaa mile huzoor
us par bhi poochte hain ki kya iltimaas hai

talwaar ki hai qadr-shanasi ke dam ke saath
jauhar ko jaanta hai jo johar-shanaas hai

उस का मिज़ाज पूछो जो हर वक़्त पास है
उस की बला से दिल जो हमारा उदास है

पोशाक से बदन की तजल्ली है आश्कार
फ़ानूस-ए-शम-ए-तूर तुम्हारा लिबास है

दिल तोड़ कर वो नश्शे में कहते हैं नाज़ से
किस काम का रहा है ये टूटा गिलास है

फ़रमाइए मिज़ाज-ए-मुबारक है किस तरह
कुछ ख़ैर तो है किस लिए चेहरा उदास है

मुद्दत के बाद आज तो तन्हा मिले हुज़ूर
उस पर भी पूछते हैं कि क्या इल्तिमास है

तलवार की है क़द्र-शनासी के दम के साथ
'जौहर' को जानता है जो जौहर-शनास है

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari