roz kahte the kabhi gair ke ghar dekh liya | रोज़ कहते थे कभी ग़ैर के घर देख लिया

  - Lala Madhav Ram Jauhar

roz kahte the kabhi gair ke ghar dekh liya
aaj to aankh se ai rashk-e-qamar dekh liya

kaaba-e-dil se mili manzil-e-maqsood ki raah
yaar ka ham ne usi kooche mein ghar dekh liya

jaanib-e-ghair ishaara jo hua jaante hain
ham ne khud aankh se dekha ki idhar dekh liya

kaun sota hai kise hijr mein neend aati hai
khwaab mein kis ne tumhein ek nazar dekh liya

jab kaha main ne nahin koi chalo mere ghar
khoob raaste mein idhar aur udhar dekh liya

bole chalne mein nahin uzr mujhe kuchh lekin
khauf ye hai kisi mufsid ne agar dekh liya

aahon se aag laga denge dil-e-dushman mein
chhup ke rahte hain jahaan aap ka ghar dekh liya

bach gaya naqd-e-dil ab ke to nazar se us ki
aayega phir bhi agar chor ne ghar dekh liya

रोज़ कहते थे कभी ग़ैर के घर देख लिया
आज तो आँख से ऐ रश्क-ए-क़मर देख लिया

काबा-ए-दिल से मिली मंज़िल-ए-मक़्सूद की राह
यार का हम ने उसी कूचे में घर देख लिया

जानिब-ए-ग़ैर इशारा जो हुआ जानते हैं
हम ने ख़ुद आँख से देखा कि इधर देख लिया

कौन सोता है किसे हिज्र में नींद आती है
ख़्वाब में किस ने तुम्हें एक नज़र देख लिया

जब कहा मैं ने नहीं कोई चलो मेरे घर
ख़ूब रस्ते में इधर और उधर देख लिया

बोले चलने में नहीं उज़्र मुझे कुछ लेकिन
ख़ौफ़ ये है किसी मुफ़सिद ने अगर देख लिया

आहों से आग लगा देंगे दिल-ए-दुश्मन में
छुप के रहते हैं जहाँ आप का घर देख लिया

बच गया नक़्द-ए-दिल अब के तो नज़र से उस की
आएगा फिर भी अगर चोर ने घर देख लिया

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari