thoda hai jis qadar main padhoon khat habeeb ka
dekha hai aaj aankhon se likkha naseeb ka
ham may-kashon ne nashshe mein aise kiye sawaal
dam band kar diya sar-e-minbar-khatib ka
sayyaad ghaat mein hai kahi baagbaan kahi
saara chaman hai dushman-e-jaan andaleeb ka
apni zabaan se mujhe jo chahe kah len aap
badh badh ke bolna nahin achha raqeeb ka
aankhen safed ho gaeein jab intizaar mein
us waqt nama-bar ne diya khat habeeb ka
qismat dubone laai hai dariya-e-ishq mein
ai khizr paar kijie beda gareeb ka
vo be-khata hain un se shikaayat hi kis liye
jauhar ye sab qusoor hai apne naseeb ka
थोड़ा है जिस क़दर मैं पढ़ूँ ख़त हबीब का
देखा है आज आँखों से लिक्खा नसीब का
हम मय-कशों ने नश्शे में ऐसे किए सवाल
दम बंद कर दिया सर-ए-मिंबर-ख़तीब का
सय्याद घात में है कहीं बाग़बाँ कहीं
सारा चमन है दुश्मन-ए-जाँ अंदलीब का
अपनी ज़बान से मुझे जो चाहे कह लें आप
बढ़ बढ़ के बोलना नहीं अच्छा रक़ीब का
आँखें सफ़ेद हो गईं जब इंतिज़ार में
उस वक़्त नामा-बर ने दिया ख़त हबीब का
क़िस्मत डुबोने लाई है दरिया-ए-इश्क़ में
ऐ ख़िज़्र पार कीजिए बेड़ा ग़रीब का
वो बे-ख़ता हैं उन से शिकायत ही किस लिए
'जौहर' ये सब क़ुसूर है अपने नसीब का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Qismat Shayari Shayari