baara maheene hijr ke guzre malaal mein
laakhon hi ranj ham ne sahe ek saal mein
laate nahin faqeer kisi ko khayal mein
allah waale mast hain apne hi haal mein
takleef-e-qaid-e-zulf mere dil se poochiye
khaaliq kahi fansaaye na machhli ko jaal mein
sun kar sawaal-e-wasl vo jauhar se kahte hain
kuchh baat ho to aaye hamaare khayal mein
बारा महीने हिज्र के गुज़रे मलाल में
लाखों ही रंज हम ने सहे एक साल में
लाते नहीं फ़क़ीर किसी को ख़याल में
अल्लाह वाले मस्त हैं अपने ही हाल में
तकलीफ़-ए-क़ैद-ए-ज़ुल्फ़ मिरे दिल से पूछिए
ख़ालिक़ कहीं फँसाए न मछली को जाल में
सुन कर सवाल-ए-वस्ल वो 'जौहर' से कहते हैं
कुछ बात हो तो आए हमारे ख़याल में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Gham Shayari Shayari