dil mera khwaab-gaah-e-dilbar hai
bas yahi ek sone ka ghar hai
zulfen munh par hain munh hai zulfon mein
raat bhar subh shaam din bhar hai
chashm-e-insaaf se nazaara kar
ek qatra yahan samundar hai
bahut eeza uthaai furqat ki
ab nahin ikhtiyaar dil par hai
dekh kar chaand sa tumhaara munh
aaina meri tarah shashdar hai
dil milaaun main kya tire dil se
ek sheesha hai ek patthar hai
दिल मिरा ख़्वाब-गाह-ए-दिलबर है
बस यही एक सोने का घर है
ज़ुल्फ़ें मुँह पर हैं मुँह है ज़ुल्फ़ों में
रात भर सुब्ह शाम दिन भर है
चश्म-ए-इंसाफ़ से नज़ारा कर
एक क़तरा यहाँ समुंदर है
बहुत ईज़ा उठाई फ़ुर्क़त की
अब नहीं इख़्तियार दिल पर है
देख कर चाँद सा तुम्हारा मुँह
आईना मेरी तरह शश्दर है
दिल मिलाऊँ मैं क्या तिरे दिल से
एक शीशा है एक पत्थर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Raat Shayari Shayari