kaun hote hain vo mehfil se uthaane waale | कौन होते हैं वो महफ़िल से उठाने वाले - Lala Madhav Ram Jauhar

kaun hote hain vo mehfil se uthaane waale
yun to jaate bhi magar ab nahin jaane waale

aah-e-pur-soz ki taaseer buri hoti hai
khush rahenge na ghareebon ko sataane waale

koocha-e-yaar mein hum ko to qaza laai hai
jaan jaayegi magar hum nahin jaane waale

hum ko kya kaam kisi aur pari se tauba
aap bhi khoob hain be-par ki udaane waale

jis qadar chahiye bithlaaiye pahre dar par
band rahne ke nahin khwaab mein aane waale

kya qayamat hai ki rulva ke humein ai jauhar
qahqahe maar ke hanste hain rulaane waale

कौन होते हैं वो महफ़िल से उठाने वाले
यूँ तो जाते भी मगर अब नहीं जाने वाले

आह-ए-पुर-सोज़ की तासीर बुरी होती है
ख़ुश रहेंगे न ग़रीबों को सताने वाले

कूचा-ए-यार में हम को तो क़ज़ा लाई है
जान जाएगी मगर हम नहीं जाने वाले

हम को क्या काम किसी और परी से तौबा
आप भी ख़ूब हैं बे-पर की उड़ाने वाले

जिस क़दर चाहिए बिठलाइए पहरे दर पर
बंद रहने के नहीं ख़्वाब में आने वाले

क्या क़यामत है कि रुलवा के हमें ऐ 'जौहर'
क़हक़हे मार के हँसते हैं रुलाने वाले

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari