ye waiz kaisi bahki bahki baatein hum se karte hain | ये वाइज़ कैसी बहकी बहकी बातें हम से करते हैं - Lala Madhav Ram Jauhar

ye waiz kaisi bahki bahki baatein hum se karte hain
kahi chadh kar sharaab-e-ishq ke nashshe utarte hain

khuda samjhe ye kya sayyaad o gulchein zulm karte hain
gulon ko todate hain bulbulon ke par katarte hain

daya dam naza' mein go aap ne par rooh chal nikli
kisi ke rokne se jaane waale kab theharte hain

zara rahne do apne dar pe hum khaana-b-doshon ko
musaafir jis jagah aaraam paate hain theharte hain

na aa jaaya karo aghyaar ki ulfat jataane mein
vo tum par kyun bhala marne lage faaqon se marte hain

har ik mausam mein kisht-e-aarzoo sarsabz rahti hai
tardudd gair ko hoga yahan to chain karte hain

ye joda kholna bhi hech se khaali nahin un ka
uljh jaata hai dil jab baal shaanon par bikharte hain

samajh lena tumhaara ai raqeebo kuch nahin mushkil
khuda jaane ye kis ka khauf hai hum kis se darte hain

takalluf ke ye ma'ni hain samajh lo be-kahe dil ki
maza kya jab humeen ne ye kaha tum se ki marte hain

ये वाइज़ कैसी बहकी बहकी बातें हम से करते हैं
कहीं चढ़ कर शराब-ए-इश्क़ के नश्शे उतरते हैं

ख़ुदा समझे ये क्या सय्याद ओ गुलचीं ज़ुल्म करते हैं
गुलों को तोड़ते हैं बुलबुलों के पर कतरते हैं

दया दम नज़अ में गो आप ने पर रूह चल निकली
किसी के रोकने से जाने वाले कब ठहरते हैं

ज़रा रहने दो अपने दर पे हम ख़ाना-ब-दोशों को
मुसाफ़िर जिस जगह आराम पाते हैं ठहरते हैं

न आ जाया करो अग़्यार की उल्फ़त जताने में
वो तुम पर क्यूँ भला मरने लगे फ़ाक़ों से मरते हैं

हर इक मौसम में किश्त-ए-आरज़ू सरसब्ज़ रहती है
तरद्दुद ग़ैर को होगा यहाँ तो चैन करते हैं

ये जोड़ा खोलना भी हेच से ख़ाली नहीं उन का
उलझ जाता है दिल जब बाल शानों पर बिखरते हैं

समझ लेना तुम्हारा ऐ रक़ीबो कुछ नहीं मुश्किल
ख़ुदा जाने ये किस का ख़ौफ़ है हम किस से डरते हैं

तकल्लुफ़ के ये मअनी हैं समझ लो बे-कहे दिल की
मज़ा क्या जब हमीं ने ये कहा तुम से कि मरते हैं

- Lala Madhav Ram Jauhar
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari