kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi | कैसा ही दोस्त हो न कहे राज़-ए-दिल कोई

  - Lala Madhav Ram Jauhar

kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi
nikli jo baat munh se to phaili jahaan mein

sach sach kaho ye baat banaana nahin pasand
kya kah rahe the gair abhi chupke se kaan mein

poocha hai haal-e-zaar to sun lo khata-muaaf
kuchh baat mere honton mein hai kuchh zabaan mein

aashiq se poochiye na sar-e-bazm haal-e-dil
parde ki baat sunte hain chupke se kaan mein

furqat mein kya bataaun ki din hai ki raat hai
aankhon ko soojhtaa nahin rone ke dhyaan mein

qasr-e-jahaan hai tere faqeeron ka jhonpadaa
mahlon se badh ke chain hai apne makaan mein

do din ki zindagi mein jo chahe koi kare
rah jaati hai bhalaai buraai jahaan mein

कैसा ही दोस्त हो न कहे राज़-ए-दिल कोई
निकली जो बात मुँह से तो फैली जहान में

सच सच कहो ये बात बनाना नहीं पसंद
क्या कह रहे थे ग़ैर अभी चुपके से कान में

पूछा है हाल-ए-ज़ार तो सुन लो ख़ता-मुआफ़
कुछ बात मेरे होंटों में है कुछ ज़बान में

आशिक़ से पूछिए न सर-ए-बज़्म हाल-ए-दिल
पर्दे की बात सुनते हैं चुपके से कान में

फ़ुर्क़त में क्या बताऊँ कि दिन है कि रात है
आँखों को सूझता नहीं रोने के ध्यान में

क़स्र-ए-जहाँ है तेरे फ़क़ीरों का झोंपड़ा
महलों से बढ़ के चैन है अपने मकान में

दो दिन की ज़िंदगी में जो चाहे कोई करे
रह जाती है भलाई बुराई जहान में

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari