raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain | रात दिन चैन हम ऐ रश्क-ए-क़मर रखते हैं - Lala Madhav Ram Jauhar

raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain
shaam awadh ki to banaras ki sehar rakhte hain

bhaanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya
tadne waale qayamat ki nazar rakhte hain

dhoondh leta main agar aur kisi ja hote
kya kahoon aap dil-e-ghair mein ghar rakhte hain

ashk qaabu mein nahin raaz chhupaau kyunkar
dushmani mujh se mere deeda-e-tar rakhte hain

kaise be-rehm hain sayyaad ilaahi tauba
mausam-e-gul mein mujhe kaat ke par rakhte hain

kaun hain hum se siva naaz uthaane waale
saamne aayein jo dil aur jigar rakhte hain

dil to kya cheez hai patthar ho to paani ho jaaye
mere naale abhi itna to asar rakhte hain

chaar din ke liye duniya mein ladai kaisi
vo bhi kya log hain aapas mein sharar rakhte hain

haal-e-dil yaar ko mehfil mein sunaau kyun kar
muddai kaan udhar aur idhar rakhte hain

jalwa-e-yaar kisi ko nazar aata kab hai
dekhte hain wahi us ko jo nazar rakhte hain

aashiqon par hai dikhaane ko itaab ai jauhar
dil mein mehboob inaayat ki nazar rakhte hain

रात दिन चैन हम ऐ रश्क-ए-क़मर रखते हैं
शाम अवध की तो बनारस की सहर रखते हैं

भाँप ही लेंगे इशारा सर-ए-महफ़िल जो किया
ताड़ने वाले क़यामत की नज़र रखते हैं

ढूँढ लेता मैं अगर और किसी जा होते
क्या कहूँ आप दिल-ए-ग़ैर में घर रखते हैं

अश्क क़ाबू में नहीं राज़ छुपाऊँ क्यूँकर
दुश्मनी मुझ से मिरे दीदा-ए-तर रखते हैं

कैसे बे-रहम हैं सय्याद इलाही तौबा
मौसम-ए-गुल में मुझे काट के पर रखते हैं

कौन हैं हम से सिवा नाज़ उठाने वाले
सामने आएँ जो दिल और जिगर रखते हैं

दिल तो क्या चीज़ है पत्थर हो तो पानी हो जाए
मेरे नाले अभी इतना तो असर रखते हैं

चार दिन के लिए दुनिया में लड़ाई कैसी
वो भी क्या लोग हैं आपस में शरर रखते हैं

हाल-ए-दिल यार को महफ़िल में सुनाऊँ क्यूँ कर
मुद्दई कान उधर और इधर रखते हैं

जल्वा-ए-यार किसी को नज़र आता कब है
देखते हैं वही उस को जो नज़र रखते हैं

आशिक़ों पर है दिखाने को इताब ऐ 'जौहर'
दिल में महबूब इनायत की नज़र रखते हैं

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari