tere ghar khwaab mein gaya tha gair | तेरे घर ख़्वाब में गया था ग़ैर

  - Lala Madhav Ram Jauhar

tere ghar khwaab mein gaya tha gair
apni aankhon se ham ne dekha hai

kis qadar hai mizaaj mein garmi
shola hai aag hai bhbhuka hai

ai buto qaabe ka karo kuchh paas
dil na todo ye ghar khuda ka hai

chup raho kyun mizaaj poochte ho
ham jiein ya maren tumhein kya hai

us gul-e-tar ke aane se jauhar
khaana-e-dil tamaam mahka hai

तेरे घर ख़्वाब में गया था ग़ैर
अपनी आँखों से हम ने देखा है

किस क़दर है मिज़ाज में गर्मी
शोला है आग है भभूका है

ऐ बुतो क़ाबे का करो कुछ पास
दिल न तोड़ो ये घर ख़ुदा का है

चुप रहो क्यूँ मिज़ाज पूछते हो
हम जिएँ या मरें तुम्हें क्या है

उस गुल-ए-तर के आने से 'जौहर'
ख़ाना-ए-दिल तमाम महका है

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari