husn aur ishq kii ghafalat se dara karte hain
mere gham-khwaar aqeedat se dara karte hain
zeest kii asl haqeeqat se dara karte hain
ab to rahgeer bhi hijrat se dara karte hain
dillagi ne nahin aadat ne daraaya hamko
log cigarette se nahin lat se dara karte hain
aap izhaar ae muhabbat se dara karte the
maazrat ham to muhabbat se dara karte hain
un ko bachpan mein kabhi maa ne daraaya hoga
vo sabhi mard jo aurat se dara karte hain
jism ko baap kii dastaar samajhne waale
paas aakar bhi sharaarat se dara karte hain
हुस्न और इश्क़ की ग़फ़लत से डरा करते हैं
मेरे ग़म-ख़्वार अक़ीदत से डरा करते हैं
ज़ीस्त की अस्ल हक़ीक़त से डरा करते हैं
अब तो रहगीर भी हिजरत से डरा करते हैं
दिल्लगी ने नहीं आदत ने डराया हमको
लोग सिगरेट से नहीं लत से डरा करते हैं
आप इज़हार ए मुहब्बत से डरा करते थे
माज़रत हम तो मुहब्बत से डरा करते हैं
उन को बचपन में कभी माँ ने डराया होगा
वो सभी मर्द जो औरत से डरा करते हैं
जिस्म को बाप की दस्तार समझने वाले
पास आकर भी शरारत से डरा करते हैं
As you were reading Shayari by Lalit Pandey
our suggestion based on Lalit Pandey
As you were reading undefined Shayari