mere vujood abhi na-tawan nahin hona
phir is ke b'ad ye mausam jawaan nahin hona
kise khabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang
zameen ka hona magar aasmaan nahin hona
hamein khabar hai ki vehshat thikaane lagni hai
hamaara josh abhi raayegaan nahin hona
vujood apna hai aur aap tay karenge ham
kahaan pe hona hai ham ko kahaan nahin hona
ab is ke b'ad sakat kuchh nahin rahi mujh mein
ab is se aage ka qissa bayaan nahin hona
hamaari basti ka dukh hai humeen se poocho miyaan
ki qabren honi magar aastaan nahin hona
maqaam-e-shukr hai mere liye ki mere mureed
ye tera aaj mera qadr-daan nahin hona
main khaandaan ka sab se bada madari hoon
tamasha hota rahega yahan nahin hona
bas itni doori mayassar rahegi dono ko
ki fasla bhi koi darmiyaan nahin hona
ajab azaab tha ki apne shehr-e-armaan mein
hamaare vaaste jaa-e-amaan nahin hona
ye zulm hai ki munaadi ho imtihaanon ki
phir is ke b'ad koi imtihaan nahin hona
ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha ali
hamaare hone ka ham ko gumaan nahin hona
मिरे वजूद अभी ना-तवाँ नहीं होना
फिर इस के ब'अद ये मौसम जवाँ नहीं होना
किसे ख़बर थी कि महशर का होगा ये भी रंग
ज़मीं का होना मगर आसमाँ नहीं होना
हमें ख़बर है कि वहशत ठिकाने लगनी है
हमारा जोश अभी राएगाँ नहीं होना
वजूद अपना है और आप तय करेंगे हम
कहाँ पे होना है हम को कहाँ नहीं होना
अब इस के ब'अद सकत कुछ नहीं रही मुझ में
अब इस से आगे का क़िस्सा बयाँ नहीं होना
हमारी बस्ती का दुख है हमीं से पूछो मियाँ
कि क़ब्रें होनी मगर आस्ताँ नहीं होना
मक़ाम-ए-शुक्र है मेरे लिए कि मेरे मुरीद
ये तेरा आज मिरा क़द्र-दाँ नहीं होना
मैं ख़ानदान का सब से बड़ा मदारी हूँ
तमाशा होता रहेगा यहाँ नहीं होना
बस इतनी दूरी मयस्सर रहेगी दोनों को
कि फ़ासला भी कोई दरमियाँ नहीं होना
अजब अज़ाब था कि अपने शहर-ए-अरमाँ में
हमारे वास्ते जा-ए-अमाँ नहीं होना
ये ज़ुल्म है कि मुनादी हो इम्तिहानों की
फिर इस के ब'अद कोई इम्तिहाँ नहीं होना
अजब सुपुर्दगी-ए-जाँ का मरहला था 'अली'
हमारे होने का हम को गुमाँ नहीं होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liaqat Jafri
our suggestion based on Liaqat Jafri
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari