sar pe sajne ko jo taiyyaar hai mere andar | सर पे सजने को जो तय्यार है मेरे अंदर

  - Liaqat Jafri

sar pe sajne ko jo taiyyaar hai mere andar
gard-aalood si dastaar hai mere andar

jis ke mar jaane ka ehsaas bana rehta hai
mujh se badh kar koi beemaar hai mere andar

roz ashkon ki nayi fasl ugaa deta hai
ek boodha sa zameendaar hai mere andar

kitna ghanghor andhera hai meri rag rag mein
is qadar raushni darkaar hai mere andar

dab ke mar jaaunga ik roz main apne neeche
ek girti hui deewaar hai mere andar

kaun deta hai ye har waqt gawaahi meri
kaun ye mera taraf-daar hai mere andar

mere likkhe hue har lafz ko jhutlaata hai
mujh se badh kar koi fankaar hai mere andar

सर पे सजने को जो तय्यार है मेरे अंदर
गर्द-आलूद सी दस्तार है मेरे अंदर

जिस के मर जाने का एहसास बना रहता है
मुझ से बढ़ कर कोई बीमार है मेरे अंदर

रोज़ अश्कों की नई फ़स्ल उगा देता है
एक बूढ़ा सा ज़मींदार है मेरे अंदर

कितना घनघोर अँधेरा है मिरी रग रग में
इस क़दर रौशनी दरकार है मेरे अंदर

दब के मर जाऊँगा इक रोज़ मैं अपने नीचे
एक गिरती हुई दीवार है मेरे अंदर

कौन देता है ये हर वक़्त गवाही मेरी
कौन ये मेरा तरफ़-दार है मेरे अंदर

मेरे लिक्खे हुए हर लफ़्ज़ को झुटलाता है
मुझ से बढ़ कर कोई फ़नकार है मेरे अंदर

  - Liaqat Jafri

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari