kisi girdaab ki phenki padi hai | किसी गिर्दाब की फेंकी पड़ी है - Liaqat Jafri

kisi girdaab ki phenki padi hai
lab-e-saahil jo ik kashti padi hai

haqeeqat mein wahi seedhi padi hai
mujhe ik chaal jo ulti padi hai

safar uljha diye hain us ne saare
mere pairo'n mein jo tezi padi hai

vo hangaama guzar jaata udhar se
magar raaste mein khaamoshi padi hai

mere kaanon ki zad par hain manaazir
meri aankhon mein sargoshi padi hai

hua hai qatl bedaari ka jab se
ye basti raat din soi padi hai

ye misra main adhoora chhodta hoon
mere baste mein ik takhti padi hai

patang katne ka baa'is aur hai kuch
agarche dor bhi uljhi padi hai

zara koel ka pinjra khul gaya tha
abhi tak khauf se sahmi padi hai

mukammal ek duniya aur bhi hai
jo ik duniya ki an-dekhi padi hai

badi banjar thi ye kheti liyaqat
magar kuch roz se seenchi padi hai

किसी गिर्दाब की फेंकी पड़ी है
लब-ए-साहिल जो इक कश्ती पड़ी है

हक़ीक़त में वही सीधी पड़ी है
मुझे इक चाल जो उल्टी पड़ी है

सफ़र उलझा दिए हैं उस ने सारे
मिरे पैरों में जो तेज़ी पड़ी है

वो हंगामा गुज़र जाता उधर से
मगर रस्ते में ख़ामोशी पड़ी है

मिरे कानों की ज़द पर हैं मनाज़िर
मिरी आँखों में सरगोशी पड़ी है

हुआ है क़त्ल बेदारी का जब से
ये बस्ती रात दिन सोई पड़ी है

ये मिस्रा मैं अधूरा छोड़ता हूँ
मिरे बस्ते में इक तख़्ती पड़ी है

पतंग कटने का बाइस और है कुछ
अगरचे डोर भी उलझी पड़ी है

ज़रा कोयल का पिंजरा खुल गया था
अभी तक ख़ौफ़ से सहमी पड़ी है

मुकम्मल एक दुनिया और भी है
जो इक दुनिया की अन-देखी पड़ी है

बड़ी बंजर थी ये खेती 'लियाक़त'
मगर कुछ रोज़ से सींची पड़ी है

- Liaqat Jafri
1 Like

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari