ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai | ये जो रह रह के सर-ए-दश्त हवा चलती है

  - Liaqat Jafri

ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai
kitni achhi hai magar kitna bura chalti hai

ek aaseb ta'aqub mein laga rehta hai
main jo rukta hoon to phir us ki sada chalti hai

haaye vo saans ki rukti hai to kya rukti hai
haaye vo aankh ki chalti hai to kya chalti hai

pesh-khema hai kisi aur nayi vehshat ka
ye jo itra ke abhi baad-e-saba chalti hai

teer chalte hain lagaataar savaad-e-jaan mein
aur talwaar koi ek juda chalti hai

beech dariya ke ajab jashn bapaa hai yaaro
saath kashti ke koi mauj-e-balaa chalti hai

aaj kuchh aur hi manzar hai mere chaaron taraf
ghair-mehsoos tariqe se hawa chalti hai

main b-zaahir to hoon aasooda p mere andar
dheeme dheeme se kahi aah-o-buka chalti hai

yun to bebaak bana firta hai vo yaaron mein
us ki aankhon mein ajab sharm-o-haya chalti hai

mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe
mere honton pe yahi ek dua chalti hai

ये जो रह रह के सर-ए-दश्त हवा चलती है
कितनी अच्छी है मगर कितना बुरा चलती है

एक आसेब तआक़ुब में लगा रहता है
मैं जो रुकता हूँ तो फिर उस की सदा चलती है

हाए वो साँस कि रुकती है तो क्या रुकती है
हाए वो आँख कि चलती है तो क्या चलती है

पेश-ख़ेमा है किसी और नई वहशत का
ये जो इतरा के अभी बाद-ए-सबा चलती है

तीर चलते हैं लगातार सवाद-ए-जाँ में
और तलवार कोई एक जुदा चलती है

बीच दरिया के अजब जश्न बपा है यारो
साथ कश्ती के कोई मौज-ए-बला चलती है

आज कुछ और ही मंज़र है मिरे चारों तरफ़
ग़ैर-महसूस तरीक़े से हवा चलती है

मैं ब-ज़ाहिर तो हूँ आसूदा प मेरे अंदर
धीमे धीमे से कहीं आह-ओ-बुका चलती है

यूँ तो बेबाक बना फिरता है वो यारों में
उस की आँखों में अजब शर्म-ओ-हया चलती है

मेरे मौला जो रहे सिर्फ़ कहा तेरा रहे
मेरे होंटों पे यही एक दुआ चलती है

  - Liaqat Jafri

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari