usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi | उसी के दम पे तो ये दोस्ती बची हुई थी

  - Liaqat Jafri

usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi
hamaare beech mein jo ham-sari bachi hui thi

hamaare beech mein ik pukhtagi bachi hui thi
bachi hui thi magar aarzi bachi hui thi

usi ke noor se ye raushni bachi hui thi
mere naseeb mein jo teergi bachi hui thi

usi ke dam pe manaaya tha us ne jashn mera
ki dushmani mein bhi jo dosti bachi hui thi

kamaal ye tha ki ham bahs haar baithe the
hamaare lehje ki shaistagi bachi hui thi

agarche khatm the rishte padosiyon waale
hamaare beech mein hamsaayagi bachi hi thi

badal chuka tha vo apna mizaaj mere liye
magar dikhaave ko ik be-rukhi bachi hui thi

usi ke noor se pur-noor tha ye saara jahaan
hamaari aankh mein jo raushni bachi hui thi

ab is maqaam pe pahuncha diya tha ham ne ishq
junoon khatm tha deewaangi bachi hui thi

usi ne jod ke rakha hua tha rishte ko
hamaare beech mein jo barhmi bachi hui thi

is ek baat ki sharmindagi ne maar diya
mere vujood tiri tishnagi bachi hui thi

uboor kar liya sehra to phir se laut aaye
junoon baaki tha aashuftagi bachi hui thi

main gahe-gahe use yaad kar hi leta tha
isee bahaane meri zindagi bachi hui thi

usi ke dam pe parhe bhi gaye sune bhi gaye
hamaare lehje mein jo chaashni bachi hui thi

zamaane teri hunar-kosh razm ke haathon
main loot chuka tha magar shaayeri bachi hui thi

vo kaun raaz tha jis ko bayaan kar na sake
vo kaun baat thi jo jafari bachi hui thi

उसी के दम पे तो ये दोस्ती बची हुई थी
हमारे बीच में जो हम-सरी बची हुई थी

हमारे बीच में इक पुख़्तगी बची हुई थी
बची हुई थी मगर आरज़ी बची हुई थी

उसी के नूर से ये रौशनी बची हुई थी
मिरे नसीब में जो तीरगी बची हुई थी

उसी के दम पे मनाया था उस ने जश्न मिरा
कि दुश्मनी में भी जो दोस्ती बची हुई थी

कमाल ये था कि हम बहस हार बैठे थे
हमारे लहजे की शाइस्तगी बची हुई थी

अगरचे ख़त्म थे रिश्ते पड़ोसियों वाले
हमारे बीच में हमसायगी बची ही थी

बदल चुका था वो अपना मिज़ाज मेरे लिए
मगर दिखावे को इक बे-रुख़ी बची हुई थी

उसी के नूर से पुर-नूर था ये सारा जहाँ
हमारी आँख में जो रौशनी बची हुई थी

अब इस मक़ाम पे पहुँचा दिया था हम ने इश्क़
जुनून ख़त्म था दीवानगी बची हुई थी

उसी ने जोड़ के रक्खा हुआ था रिश्ते को
हमारे बीच में जो बरहमी बची हुई थी

इस एक बात की शर्मिंदगी ने मार दिया
मिरे वजूद तिरी तिश्नगी बची हुई थी

उबूर कर लिया सहरा तो फिर से लौट आए
जुनून बाक़ी था आशुफ़्तगी बची हुई थी

मैं गाहे-गाहे उसे याद कर ही लेता था
इसी बहाने मिरी ज़िंदगी बची हुई थी

उसी के दम पे पढ़े भी गए सुने भी गए
हमारे लहजे में जो चाशनी बची हुई थी

ज़माने तेरी हुनर-कोश रज़्म के हाथों
मैं लुट चुका था मगर शाएरी बची हुई थी

वो कौन राज़ था जिस को बयान कर न सके
वो कौन बात थी जो 'जाफ़री' बची हुई थी

  - Liaqat Jafri

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari