pade pade nayi zar-kheziyaan nikal aayein | पड़े पड़े नई ज़र-ख़ेज़ियाँ निकल आईं

  - Liaqat Jafri

pade pade nayi zar-kheziyaan nikal aayein
kate darakht mein phir tahniyaan nikal aayein

us aaine mein tha sarsabz baagh ka manzar
chhua jo main ne to do titliyan nikal aayein

main tod daala gaya to imaarat-e-jaan mein
kahaan kahaan se meri chaabiyaan nikal aayein

main aasmaan pe pahuncha to ladkhadaane laga
bulandiyon mein ajab pastiyaan nikal aayein

thehar gaye to mayassar hui na jaa-e-amaan
jo chal pade to kai bastiyaan nikal aayein

wahi naseeb ki main shehryaar jis se bana
usi naseeb mein tang-dastiyaan nikal aayein

mere ilaaj ko allah istiqaamat de
mere mareez ki phir pasliyaan nikal aayein

main aasmaan se utara zameen ki jaanib
zameen se meri taraf seedhiyaan nikal aayein

wahi suraakh jahaan chipkili ka dera tha
usi sooraakh se phir chyuntiyaan nikal aayein

abhi abhi to sambhaala gaya tha gard-o-ghubaar
hisaar-e-dasht mein phir aandhiyaan nikal aayein

sanbhaal rakha tha ammi ne jis ko maut talak
usi kabaad se kuchh takhtiyan nikal aayein

main aakhiri tha jise sarfaraz hona tha
mere hunar mein bhi kotaahiyaan nikal aayein

पड़े पड़े नई ज़र-ख़ेज़ियाँ निकल आईं
कटे दरख़्त में फिर टहनियाँ निकल आईं

उस आइने में था सरसब्ज़ बाग़ का मंज़र
छुआ जो मैं ने तो दो तितलियाँ निकल आईं

मैं तोड़ डाला गया तो इमारत-ए-जाँ में
कहाँ कहाँ से मिरी चाबियाँ निकल आईं

मैं आसमान पे पहुँचा तो लड़खड़ाने लगा
बुलंदियों में अजब पस्तियाँ निकल आईं

ठहर गए तो मयस्सर हुई न जा-ए-अमाँ
जो चल पड़े तो कई बस्तियाँ निकल आईं

वही नसीब कि मैं शहरयार जिस से बना
उसी नसीब में तंग-दस्तियाँ निकल आईं

मिरे इलाज को अल्लाह इस्तक़ामत दे
मिरे मरीज़ की फिर पस्लियाँ निकल आईं

मैं आसमान से उतरा ज़मीन की जानिब
ज़मीं से मेरी तरफ़ सीढ़ियाँ निकल आईं

वही सुराख़ जहाँ छिपकिली का डेरा था
उसी सूराख़ से फिर च्यूंटियाँ निकल आईं

अभी अभी तो सँभाला गया था गर्द-ओ-ग़ुबार
हिसार-ए-दश्त में फिर आँधियाँ निकल आईं

सँभाल रखा था अम्मी ने जिस को मौत तलक
उसी कबाड़ से कुछ तख़्तियाँ निकल आईं

मैं आख़िरी था जिसे सरफ़राज़ होना था
मिरे हुनर में भी कोताहियाँ निकल आईं

  - Liaqat Jafri

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari