lafz ko ilhaam ma'ni ko sharar samjha tha main | लफ़्ज़ को इल्हाम मअ'नी को शरर समझा था मैं

  - Liaqat Jafri

lafz ko ilhaam ma'ni ko sharar samjha tha main
dar-haqeeqat aib tha jis ko hunar samjha tha main

raushni thi aankh thi manzar tha phir kuchh bhi na tha
haaye kis aashob ko apni nazar samjha tha main

aasmaanon ko lapakte hain zameen-zaade sabhi
murgh-e-aadam-zaad ko be-baal-o-par samjha tha main

kun ka afsoon-e-azl phoonka gaya tha jis ghadi
mujh ko ab bhi yaad hai baar-e-digar samjha tha main

hai koi jo mere is lamhe pe giryaa kar sake
jab mujhe bilkul samajh na thi magar samjha tha main

apne bacchon ki tarah us ne udaaya mujh ko saath
jis hawaa-e-tund-khoo ko dar-b-dar samjha tha main

mujh pe farsooda aqaaid ki ajab yalghaar thi
chhote chhote vasvason ko khair-o-shar samjha tha main

regzaar-e-shab-gazeeda tujh mein taa-hadd-e-nazar
dhoop ka aaseb tha jis ko shajar samjha tha main

be-sar-o-saamaaniyon ki intiha thi jafari
jab dar-o-deewar ko deewar-o-dar samjha tha main

baab-e-hairat jab talak khulta liyaqat-'jaafari
qais ko farhaad ko aashufta-sar samjha tha main

लफ़्ज़ को इल्हाम मअ'नी को शरर समझा था मैं
दर-हक़ीक़त ऐब था जिस को हुनर समझा था मैं

रौशनी थी आँख थी मंज़र था फिर कुछ भी न था
हाए किस आशोब को अपनी नज़र समझा था मैं

आसमानों को लपकते हैं ज़मीं-ज़ादे सभी
मुर्ग़-ए-आदम-ज़ाद को बे-बाल-ओ-पर समझा था मैं

''कुन'' का अफ़्सून-ए-अज़ल फूँका गया था जिस घड़ी
मुझ को अब भी याद है बार-ए-दिगर समझा था मैं

है कोई? जो मेरे इस लम्हे पे गिर्या कर सके
जब मुझे बिल्कुल समझ न थी मगर समझा था मैं

अपने बच्चों की तरह उस ने उड़ाया मुझ को साथ
जिस हवा-ए-तुंद-ख़ू को दर-ब-दर समझा था मैं

मुझ पे फ़र्सूदा अक़ाएद की अजब यलग़ार थी
छोटे छोटे वसवसों को ख़ैर-ओ-शर समझा था मैं

रेगज़ार-ए-शब-गज़ीदा तुझ में ता-हद्द-ए-नज़र
धूप का आसेब था जिस को शजर समझा था मैं

बे-सर-ओ-सामानियों की इंतिहा थी 'जाफ़री'
जब दर-ओ-दीवार को दीवार-ओ-दर समझा था मैं

बाब-ए-हैरत जब तलक खुलता लियाक़त-'जाफ़री'
क़ैस को फ़रहाद को आशुफ़्ता-सर समझा था मैं

  - Liaqat Jafri

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari