musalsal ashk-baari kar raha tha
main apni aabiyaari kar raha tha
mujhe vo khwaab phir se dekhna tha
main khud pe neend taari kar raha tha
kai din tak tha meri dastaras mein
main ab dariya ko jaari kar raha tha
mujhe ruk ruk ke panchi dekhte the
main patthar par sawaari kar raha tha
guzarna tha bahut mushkil udhar se
dareecha chaand-maari kar raha tha
koi atom tha mere jism-o-jaan mein
main jis ki tab-kaari kar raha tha
safeene sab ke sab gharqaab kar ke
samundar aah-o-zaari kar raha tha
mujhe fitrat bhi ghistei ja rahi thi
main khud bhi reg-maari kar raha tha
meri duty thi khemo'n ki hifazat
magar main aab-daari kar raha tha
sitaare timtimaana ruk gaye the
main phir akhtar-shumaari kar raha tha
mujhe bhidna tha kis wahshi se lekin
main kis paagal se yaari kar raha tha
bahut se kaam karne the liyaqat
jinhen main baari baari kar raha tha
मुसलसल अश्क-बारी कर रहा था
मैं अपनी आबियारी कर रहा था
मुझे वो ख़्वाब फिर से देखना था
मैं ख़ुद पे नींद तारी कर रहा था
कई दिन तक था मेरी दस्तरस में
मैं अब दरिया को जारी कर रहा था
मुझे रुक रुक के पंछी देखते थे
मैं पत्थर पर सवारी कर रहा था
गुज़रना था बहुत मुश्किल उधर से
दरीचा चाँद-मारी कर रहा था
कोई एटम था मेरे जिस्म-ओ-जाँ में
मैं जिस की ताब-कारी कर रहा था
सफ़ीने सब के सब ग़र्क़ाब कर के
समुंदर आह-ओ-ज़ारी कर रहा था
मुझे फ़ितरत भी घिसती जा रही थी
मैं ख़ुद भी रेग-मारी कर रहा था
मेरी ड्यूटी थी ख़ेमों की हिफ़ाज़त
मगर मैं आब-दारी कर रहा था
सितारे टिमटिमाना रुक गए थे
मैं फिर अख़्तर-शुमारी कर रहा था
मुझे भिड़ना था किस वहशी से लेकिन
मैं किस पागल से यारी कर रहा था
बहुत से काम करने थे 'लियाक़त'
जिन्हें मैं बारी बारी कर रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liaqat Jafri
our suggestion based on Liaqat Jafri
As you were reading Khwab Shayari Shayari