muslim hoon par khud pe qaabu rehta hai | मुस्लिम हूँ पर ख़ुद पे क़ाबू रहता है

  - Liaqat Jafri

muslim hoon par khud pe qaabu rehta hai
mere andar bhi ik hindu rehta hai

koi farmaish ke baazu kaat bhi de
us ke haath mein phir bhi jaadu rehta hai

raat gaye tak bacche daudte rahte hain
mere kamre mein ik jugnoo rehta hai

meer ka deewana ghalib ka shaidai
meri basti mein ik sadhu rehta hai

us ke labon par english vinglish rahti hai
mere hont pe urdu urdu rehta hai

aql hazaaron bhes badalti rahti hai
ye dil mar jaane tak buddhu rehta hai

मुस्लिम हूँ पर ख़ुद पे क़ाबू रहता है
मेरे अंदर भी इक हिन्दू रहता है

कोई जादूगर के बाज़ू काट भी दे
उस के हाथ में फिर भी जादू रहता है

रात गए तक बच्चे दौड़ते रहते हैं
मेरे कमरे में इक जुगनू रहता है

'मीर' का दिवाना 'ग़ालिब' का शैदाई
मेरी बस्ती में इक साधू रहता है

उस के लबों पर इंग्लिश विंग्लिश रहती है
मेरे होंट पे उर्दू उर्दू रहता है

अक़्ल हज़ारों भेस बदलती रहती है
ये दिल मर जाने तक बुद्धू रहता है

  - Liaqat Jafri

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari