mile to kaash mera haath thaam kar le jaaye | मिले तो काश मिरा हाथ थाम कर ले जाए

  - Liyaqat Ali Aasim

mile to kaash mera haath thaam kar le jaaye
vo apne ghar na sahi mujh ko mere ghar le jaaye

butaan-e-shehr tumhaare larzate haathon mein
koi to sang ho aisa ki mera sar le jaaye

diya karunga yoonhi tere naam ki dastak
mera naseeb mujhe laakh dar-b-dar le jaaye

vo aadmi ho ki khushboo bahut hi rusva hai
hawa-e-shehr jise apne dosh par le jaaye

mere qareeb se guzre to ahl-e-dil bole
utha ke kaun parinda lahu mein tar le jaaye

palat ke aaye to shaayad na kuchh dikhaai de
vo ja raha hai to aasim meri nazar le jaaye

मिले तो काश मिरा हाथ थाम कर ले जाए
वो अपने घर न सही मुझ को मेरे घर ले जाए

बुतान-ए-शहर तुम्हारे लरज़ते हाथों में
कोई तो संग हो ऐसा कि मेरा सर ले जाए

दिया करूँगा यूँही तेरे नाम की दस्तक
मिरा नसीब मुझे लाख दर-ब-दर ले जाए

वो आदमी हो कि ख़ुशबू बहुत ही रुस्वा है
हवा-ए-शहर जिसे अपने दोश पर ले जाए

मिरे क़रीब से गुज़रे तो अहल-ए-दिल बोले
उठा के कौन परिंदा लहू में तर ले जाए

पलट के आए तो शायद न कुछ दिखाई दे
वो जा रहा है तो 'आसिम' मिरी नज़र ले जाए

  - Liyaqat Ali Aasim

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari