dard seene mein chhupaaye rakha
hamne maahol banaaye rakha
maut aayi thi kai din pehle
usko baaton mein lagaaye rakha
dasht mein aayi bala talne tak
shor chidiyon ne machaaye rakha
varna taaron ko shikaayat hoti
hamne har zakham chhupaaye rakha
kaam dushwaar tha phir bhi daanish
khud ko aasaan banaaye rakha
दर्द सीने में छुपाए रक्खा
हमने माहौल बनाए रक्खा
मौत आई थी कई दिन पहले
उसको बातों में लगाए रक्खा
दश्त में आई बला टलने तक
शोर चिड़ियों ने मचाए रक्खा
वरना तारों को शिकायत होती
हमने हर ज़ख़्म छुपाए रक्खा
काम दुश्वार था फिर भी दानिश
ख़ुद को आसान बनाए रक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Gham Shayari Shayari