har ek lamha meri aag mein guzaare koi
phir us ke ba'ad mujhe ishq mein utaare koi
main apni goonj ko mehsoos karna chahta hoon
utar ke mujh mein mujhe zor se pukaare koi
ab aarzoo hai vo har shay mein jagmagane lage
bas ek chehre mein kab tak use nihaare koi
falak pe chaand-sitaare tange hain sadiyon se
main chahta hoon zameen par inhen utaare koi
hai dukh to kah do kisi ped se parinde se
ab aadmi ka bharosa nahin hai pyaare koi
हर एक लम्हा मिरी आग में गुज़ारे कोई
फिर उस के बा'द मुझे इश्क़ में उतारे कोई
मैं अपनी गूँज को महसूस करना चाहता हूँ
उतर के मुझ में मुझे ज़ोर से पुकारे कोई
अब आरज़ू है वो हर शय में जगमगाने लगे
बस एक चेहरे में कब तक उसे निहारे कोई
फ़लक पे चांद-सितारे टँगे हैं सदियों से
मैं चाहता हूँ ज़मीं पर इन्हें उतारे कोई
है दुख तो कह दो किसी पेड़ से परिंदे से
अब आदमी का भरोसा नहीं है प्यारे कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Aasra Shayari Shayari