hai intizaar muqaddar to intizaar karo
par apne dil ki fazaa ko bhi khush-gawaar karo
tumhaare peeche lagi hain udaasiyaan kab se
kisi padaav par ruk kar inhen shikaar karo
hamaare khwaabon ka dar khatkhataati rahti hain
tum apni yaadon ko samjhaao hoshiyaar karo
bhali lagegi yahi zindagi agar us mein
khayal-o-khwaab ki duniya ko bhi shumaar karo
bharosa ba'ad mein kar lena saari duniya par
tum apne aap par to pehle e'tibaar karo
है इंतिज़ार मुक़द्दर तो इंतिज़ार करो
पर अपने दिल की फ़ज़ा को भी ख़ुश-गवार करो
तुम्हारे पीछे लगी हैं उदासियाँ कब से
किसी पड़ाव पर रुक कर इन्हें शिकार करो
हमारे ख़्वाबों का दर खटखटाती रहती हैं
तुम अपनी यादों को समझाओ होशियार करो
भली लगेगी यही ज़िंदगी अगर उस में
ख़याल-ओ-ख़्वाब की दुनिया को भी शुमार करो
भरोसा बा'द में कर लेना सारी दुनिया पर
तुम अपने आप पर तो पहले ए'तिबार करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Zindagi Shayari Shayari