junoon se khelte hain aagahi se khelte hain | जुनूँ से खेलते हैं आगही से खेलते हैं

  - Mahboob Khizan

junoon se khelte hain aagahi se khelte hain
yahan to ahl-e-sukhan aadmi se khelte hain

nigaar-may-kada sab se ziyaada qaabil-e-rehm
vo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain

tamaam umr ye afsurdagaan-e-mehfil-e-gul
kali ko chhedte hain be-kali se khelte hain

faraaz-e-ishq nasheb-e-jahaan se pehle tha
kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain

naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par
purane rang nayi raushni se khelte hain

jo khel jaante hain un ke aur hain andaaz
bade sukoon badi saadgi se khelte hain

khizaan kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal
ki jaise raah mein bacche khushi se khelte hain

जुनूँ से खेलते हैं आगही से खेलते हैं
यहाँ तो अहल-ए-सुख़न आदमी से खेलते हैं

निगार-मय-कदा सब से ज़ियादा क़ाबिल-ए-रहम
वो तिश्ना-काम हैं जो तिश्नगी से खेलते हैं

तमाम उम्र ये अफ़्सुर्दगान-ए-महफ़िल-ए-गुल
कली को छेड़ते हैं बे-कली से खेलते हैं

फ़राज़-ए-इश्क़ नशेब-ए-जहाँ से पहले था
किसी से खेल चुके हैं किसी से खेलते हैं

नहा रही है धनक ज़िंदगी के संगम पर
पुराने रंग नई रौशनी से खेलते हैं

जो खेल जानते हैं उन के और हैं अंदाज़
बड़े सुकून बड़ी सादगी से खेलते हैं

'ख़िज़ाँ' कभी तो कहो एक इस तरह की ग़ज़ल
कि जैसे राह में बच्चे ख़ुशी से खेलते हैं

  - Mahboob Khizan

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari