koi qareeb na aaye shikasta-paa hoon main | कोई क़रीब न आए शिकस्ता-पा हूँ मैं

  - Mahboob Khizan

koi qareeb na aaye shikasta-paa hoon main
karam to hai magar anjaam dekhta hoon main

meri nigaah mein kuchh aur dhoondhne waale
tiri nigaah mein kuchh aur dhundhta hoon main

zamaana der-faraamosh to nahin itna
ye theek hai ki bahut der-aashnaa hoon main

galat nahin vo jo shikwe ab aap ko honge
badal gaya hai zamaana badal gaya hoon main

mujhe satao nahin zindagi nigaah mein hai
fareb khao nahin tum ko jaanta hoon main

mera ghuroor-e-mohabbat ki main nahin samjha
tiri nazar ne kaha tha ki dilruba hoon main

कोई क़रीब न आए शिकस्ता-पा हूँ मैं
करम तो है मगर अंजाम देखता हूँ मैं

मिरी निगाह में कुछ और ढूँडने वाले
तिरी निगाह में कुछ और ढूँडता हूँ मैं

ज़माना देर-फ़रामोश तो नहीं इतना
ये ठीक है कि बहुत देर-आश्ना हूँ मैं

ग़लत नहीं वो जो शिकवे अब आप को होंगे
बदल गया है ज़माना बदल गया हूँ मैं

मुझे सताओ नहीं ज़िंदगी निगाह में है
फ़रेब खाओ नहीं तुम को जानता हूँ मैं

मिरा ग़ुरूर-ए-मोहब्बत कि मैं नहीं समझा
तिरी नज़र ने कहा था कि दिलरुबा हूँ मैं

  - Mahboob Khizan

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari