sabab talash na kar bas yoonhi hai ye duniya | सबब तलाश न कर बस यूँही है ये दुनिया

  - Mahboob Khizan

sabab talash na kar bas yoonhi hai ye duniya
wahi bahut hai jo kuchh jaanti hai ye duniya

khulat mein band hain konpal ke sote jaagte rang
parat parat mein nayi dilkashi hai ye duniya

uljhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siva
bahut haqeer hain ham tum badi hai ye duniya

ye log saans bhi lete hain zinda bhi hain magar
har aan jaise inhen rokti hai ye duniya

bahut dinon to ye sharmindagi thi shaamil-e-haal
humeen kharab hain achhi bhali hai ye duniya

hare-bhare rahein tere chaman tire gulzaar
haraa hai zakhm-e-tamanna bhari hai ye duniya

tum apni lehar mein ho aur kisi bhanwar ki tarah
main doosra hoon koi teesri hai ye duniya

vo apne saath bhi rahte hain chup bhi rahte hain
jinhen khabar hai ki kya bechti hai ye duniya

khizaan na soch ki bikti hai kyun badan ki bahaar
samajh ki rooh ki sauda-gari hai ye duniya

सबब तलाश न कर बस यूँही है ये दुनिया
वही बहुत है जो कुछ जानती है ये दुनिया

खुलत में बंद हैं कोंपल के सोते जागते रंग
परत परत में नई दिलकशी है ये दुनिया

उलझते रहने में कुछ भी नहीं थकन के सिवा
बहुत हक़ीर हैं हम तुम बड़ी है ये दुनिया

ये लोग साँस भी लेते हैं ज़िंदा भी हैं मगर
हर आन जैसे इन्हें रोकती है ये दुनिया

बहुत दिनों तो ये शर्मिंदगी थी शामिल-ए-हाल
हमीं ख़राब हैं अच्छी भली है ये दुनिया

हरे-भरे रहें तेरे चमन तिरे गुलज़ार
हरा है ज़ख़्म-ए-तमन्ना भरी है ये दुनिया

तुम अपनी लहर में हो और किसी भँवर की तरह
मैं दूसरा हूँ कोई तीसरी है ये दुनिया

वो अपने साथ भी रहते हैं चुप भी रहते हैं
जिन्हें ख़बर है कि क्या बेचती है ये दुनिया

'ख़िज़ाँ' न सोच कि बिकती है क्यूँ बदन की बहार
समझ कि रूह की सौदा-गरी है ये दुनिया

  - Mahboob Khizan

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari