mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta | मोहब्बत को गले का हार भी करते नहीं बनता

  - Mahboob Khizan

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta
kuchh aisi baat hai inkaar bhi karte nahin banta

khuloos-e-naaz ki tauheen bhi dekhi nahin jaati
shuur-e-husn ko bedaar bhi karte nahin banta

tujhe ab kya kahein ai meherbaan apna hi rona hai
ki saari zindagi eesaar bhi karte nahin banta

sitam dekho ki us be-dard se apni ladai hai
jise sharminda-e-paikaar bhi karte nahin banta

ada ranjeedgi parwaanagi aansoo-bhari aankhen
ab itni saadgi kya pyaar bhi karte nahin banta

jawaani meherbaani husn bhi achhi museebat hai
use achha use beemaar bhi karte nahin banta

bhanwar se jee bhi ghabraata hai lekin kya kiya jaaye
tawaaf-e-mauj-e-kam-raftaar bhi karte nahin banta

isee dil ko bhari duniya ke jhagde jhelne thehre
yahi dil jis ko duniya-daar bhi karte nahin banta

jalaati hai dilon ko sard-mehri bhi zamaane ki
sawaal-e-garmi-e-baazaar bhi karte nahin banta

khizaan un ki tavajjoh aisi naa-mumkin nahin lekin
zara si baat par israar bhi karte nahin banta

मोहब्बत को गले का हार भी करते नहीं बनता
कुछ ऐसी बात है इंकार भी करते नहीं बनता

ख़ुलूस-ए-नाज़ की तौहीन भी देखी नहीं जाती
शुऊर-ए-हुस्न को बेदार भी करते नहीं बनता

तुझे अब क्या कहें ऐ मेहरबाँ अपना ही रोना है
कि सारी ज़िंदगी ईसार भी करते नहीं बनता

सितम देखो कि उस बे-दर्द से अपनी लड़ाई है
जिसे शर्मिंदा-ए-पैकार भी करते नहीं बनता

अदा रंजीदगी परवानगी आँसू-भरी आँखें
अब इतनी सादगी क्या प्यार भी करते नहीं बनता

जवानी मेहरबानी हुस्न भी अच्छी मुसीबत है
उसे अच्छा उसे बीमार भी करते नहीं बनता

भँवर से जी भी घबराता है लेकिन क्या किया जाए
तवाफ़-ए-मौज-ए-कम-रफ़्तार भी करते नहीं बनता

इसी दिल को भरी दुनिया के झगड़े झेलने ठहरे
यही दिल जिस को दुनिया-दार भी करते नहीं बनता

जलाती है दिलों को सर्द-मेहरी भी ज़माने की
सवाल-ए-गर्मी-ए-बाज़ार भी करते नहीं बनता

'ख़िज़ाँ' उन की तवज्जोह ऐसी ना-मुम्किन नहीं लेकिन
ज़रा सी बात पर इसरार भी करते नहीं बनता

  - Mahboob Khizan

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari