kis ne kaha aap se meri museebat hai kya | किस ने कहा आप से मेरी मुसीबत है क्या

  - Mahboob Khizan

kis ne kaha aap se meri museebat hai kya
ab ye nadaamat hai kyun us ki zaroorat hai kya

ab ye tavajjoh hai kyun mere shab-o-roz par
apne shab-o-roz se aap ko furqat hai kya

kaun dikhaaye mujhe shaam se kitni haseen
kaun bataaye mujhe waqt ki qeemat hai kya

itne samaan itne shehar ek lagan ek lehar
saath baras chup rahe aur shikaayat hai kya

is bhare bazaar mein ham to akela khizaan
kyun hain mere saath log gham koi daulat hai kya

किस ने कहा आप से मेरी मुसीबत है क्या
अब ये नदामत है क्यूँ उस की ज़रूरत है क्या

अब ये तवज्जोह है क्यूँ मेरे शब-ओ-रोज़ पर
अपने शब-ओ-रोज़ से आप को फ़ुर्सत है क्या

कौन दिखाए मुझे शाम से कितनी हसीं
कौन बताए मुझे वक़्त की क़ीमत है क्या

इतने समाँ इतने शहर एक लगन एक लहर
सात बरस चुप रहे और शिकायत है क्या

इस भरे बाज़ार में हम तो अकेले 'ख़िज़ाँ'
क्यूँ हैं मिरे साथ लोग ग़म कोई दौलत है क्या

  - Mahboob Khizan

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari