khizaan mein khoobiyaan aise bahut hain | ख़िज़ाँ' में ख़ूबियाँ ऐसे बहुत हैं

  - Mahboob Khizan

khizaan mein khoobiyaan aise bahut hain
kharaabi ek hai bante bahut hain

koi rasta kahi jaaye to jaanen
badlne ke liye raaste bahut hain

nayi duniya ke sundar ban ke andar
purane waqt ke paude bahut hain

hue jab se zamaane bhar ke ham-raah
ham apne saath bhi thode bahut hain

lagaavat hai sitaaron se puraani
raqabat hai magar milte bahut hain

bahut hoga to ye sochoge shaayad
ki ham bhi the yahan jaise bahut hain

hai sab soorat ka chakkar khwaab ma'ni
dikhaaye hain bahut dekhe bahut hain

jasaarat dil mein kya ho fan mein kya ho
mulaazim-pesha hain darte bahut hain

kisi se kyun uljhte kya uljhte
ye dhaage khud-b-khud uljhe bahut hain

thakan chaaron taraf hai chalte jaao
pahunchta kaun hai chalte bahut hain

khafa ham se na ho ai chashm-e-jaanan
ham is andaaz par marte bahut hain

kaho ye bhi khizaan kehne se pehle
jo kahte kuchh nahin kahte bahut hain

ख़िज़ाँ' में ख़ूबियाँ ऐसे बहुत हैं
ख़राबी एक है बनते बहुत हैं

कोई रस्ता कहीं जाए तो जानें
बदलने के लिए रस्ते बहुत हैं

नई दुनिया के सुंदर बन के अंदर
पुराने वक़्त के पौदे बहुत हैं

हुए जब से ज़माने भर के हम-राह
हम अपने साथ भी थोड़े बहुत हैं

लगावट है सितारों से पुरानी
रक़ाबत है मगर मिलते बहुत हैं

बहुत होगा तो ये सोचोगे शायद
कि हम भी थे यहाँ जैसे बहुत हैं

है सब सूरत का चक्कर, ख़्वाब मअनी
दिखाए हैं बहुत देखे बहुत हैं

जसारत दिल में क्या हो फ़न में क्या हो
मुलाज़िम-पेशा हैं डरते बहुत हैं

किसी से क्यूँ उलझते क्या उलझते
ये धागे ख़ुद-ब-ख़ुद उलझे बहुत हैं

थकन चारों तरफ़ है चलते जाओ
पहुँचता कौन है चलते बहुत हैं

ख़फ़ा हम से न हो ऐ चश्म-ए-जानाँ
हम इस अंदाज़ पर मरते बहुत हैं

कहो ये भी 'ख़िज़ाँ' कहने से पहले
जो कहते कुछ नहीं कहते बहुत हैं

  - Mahboob Khizan

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari