hasrat-e-aab-o-gil dobara nahin | हसरत-ए-आब-ओ-गिल दोबारा नहीं - Mahboob Khizan

hasrat-e-aab-o-gil dobara nahin
dekh duniya nahin hamesha nahin

sochne ka koi nateeja nahin
saaya hai e'tibaar-e-saaya nahin

saada-kaari kai parat kai rang
saadgi ik ada-e-saada nahin

achhe lagte hain achhe log mujhe
jo samjhte hain un se parda nahin

main kahi aur kis tarah jaaun
tu kisi aur ke alaava nahin

tujh se bhaage sukoon se bhaage
sar-garaan hain ki dil-girfta nahin

raat zanjeer si qadam-b-qadam
ek manzil hai koi jaada nahin

husn to ho chala zamaana-shanaas
ishq ka bhi koi bharosa nahin

sunte hain ik jazeera hai ki jahaan
ye bala-e-hawas-e-khamsa nahin

ai sitaaro kise pukaarte ho
is kharaabe mein koi zinda nahin

chaandni khelti hai paani se
itni barsaat hai ki sabza nahin

kaise be-dard hain ki jodte hain
naram alfaaz jin mein rishta nahin

kahi ijaad mahaj be-mafhoom
kahi mafhoom hai to lahja nahin

kahi tasveer naak-naqshe baghair
kahi deewaar hai dareecha nahin

un se kaaghaz mein jaan kaise pade
jin ki aankhon mein aks-e-taaza nahin

dushmani hai to dushmani hi sahi
main nahin ya dukaan-e-sheesha nahin

khaak se kis ne uthte dekhi hai
vo qayamat ki isti'aara nahin

kabhi har saans mein zamaan-o-makaan
kabhi barson mein ek lamha nahin

bekli taar kasti jaaye khizaan
hasrat-e-aab-o-gil dobara nahin

हसरत-ए-आब-ओ-गिल दोबारा नहीं
देख दुनिया नहीं हमेशा नहीं

सोचने का कोई नतीजा नहीं
साया है ए'तिबार-ए-साया नहीं

सादा-कारी कई परत कई रंग
सादगी इक अदा-ए-सादा नहीं

अच्छे लगते हैं अच्छे लोग मुझे
जो समझते हैं उन से पर्दा नहीं

मैं कहीं और किस तरह जाऊँ
तू किसी और के अलावा नहीं

तुझ से भागे सुकून से भागे
सर-गराँ हैं कि दिल-गिरफ़्ता नहीं

रात ज़ंजीर सी क़दम-ब-क़दम
एक मंज़िल है कोई जादा नहीं

हुस्न तो हो चला ज़माना-शनास
इश्क़ का भी कोई भरोसा नहीं

सुनते हैं इक जज़ीरा है कि जहाँ
ये बला-ए-हवास-ए-ख़मसा नहीं

ऐ सितारो किसे पुकारते हो
इस ख़राबे में कोई ज़िंदा नहीं

चाँदनी खेलती है पानी से
इतनी बरसात है कि सब्ज़ा नहीं

कैसे बे-दर्द हैं कि जोड़ते हैं
नरम अल्फ़ाज़ जिन में रिश्ता नहीं

कहीं ईजाद महज़ बे-मफ़्हूम
कहीं मफ़्हूम है तो लहजा नहीं

कहीं तस्वीर नाक-नक़्शे बग़ैर
कहीं दीवार है दरीचा नहीं

उन से काग़ज़ में जान कैसे पड़े
जिन की आँखों में अक्स-ए-ताज़ा नहीं

दुश्मनी है तो दुश्मनी ही सही
मैं नहीं या दुकान-ए-शीशा नहीं

ख़ाक से किस ने उठते देखी है
वो क़यामत कि इस्तिआ'रा नहीं

कभी हर साँस में ज़मान-ओ-मकाँ
कभी बरसों में एक लम्हा नहीं

बेकली तार कसती जाए 'ख़िज़ाँ'
हसरत-ए-आब-ओ-गिल दोबारा नहीं

- Mahboob Khizan
0 Likes

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari