zindagi ko dekha hai zindagi se bhaage hain | ज़िंदगी को देखा है ज़िंदगी से भागे हैं

  - Mahboob Khizan

zindagi ko dekha hai zindagi se bhaage hain
raushni ke aanchal mein teergi ke dhaage hain

teergi ke dhaagon mein khoon ki rawaani hai
dard hai mohabbat hai husn hai jawaani hai

har taraf wahi andha khel hai anaasir ka
tairta chale saahil doobta chale dariya

chaand ho to kaakul ki lehar aur chadhti hai
raat aur ghatti hai baat aur badhti hai

ye kashish magar kya hai reshmi lakeeron mein
shaam kaise hoti hai naachte jazeeron mein

har qadam nayi uljhan sau tarah ki zanjeeren
falsafon ke veeraane doosron ki jaageerain

aandhiyaan ujaalon ki ghan-garaj siyaasat ki
kaanpate hain sayyaare raat hai qayamat ki

jang se jale duniya chaand ko chale paagal
aankh par gire bijli kaan mein pade kaajal

daur hai parindon ka chhed hai sitaaron se
kaayenaat aajiz hai ham gunaahgaaron se

ज़िंदगी को देखा है ज़िंदगी से भागे हैं
रौशनी के आँचल में तीरगी के धागे हैं

तीरगी के धागों में ख़ून की रवानी है
दर्द है मोहब्बत है हुस्न है जवानी है

हर तरफ़ वही अंधा खेल है अनासिर का
तैरता चले साहिल डूबता चले दरिया

चाँद हो तो काकुल की लहर और चढ़ती है
रात और घटती है बात और बढ़ती है

ये कशिश मगर क्या है रेशमी लकीरों में
शाम कैसे होती है नाचते जज़ीरों में

हर क़दम नई उलझन सौ तरह की ज़ंजीरें
फ़लसफ़ों के वीराने दूसरों की जागीरें

आँधियाँ उजालों की घन-गरज सियासत की
काँपते हैं सय्यारे रात है क़यामत की

जंग से जले दुनिया चाँद को चले पागल
आँख पर गिरे बिजली कान में पड़े काजल

दौर है परिंदों का छेड़ है सितारों से
काएनात आजिज़ है हम गुनाहगारों से

  - Mahboob Khizan

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari