raat us ko khwaab mein dekh kar
main ne kuchh nahin kaha
chaar saal ki thakan jawaan hui
tishnagi badh ke be-karaan hui
haan magar jab aansuon ki narm garm taazgi
aas-paas dilkashi bikhar gai
aur ek saaya sa sirhaane aa ke tham gaya
main ne ye kaha ki ai mere khuda
tu bada raheem hai
us ka dil do neem hai
us ke rang us ke husn ko nikhaar de
us ke dil ka bojh utaar de
tu use sukoon de mujhe junoon de
us ke dukh us ke dard cheen le
us ke rog mujh ko de
main gunaahgaar hoon
raat us ko khwaab mein dekh kar
chaar saal jaise phir usi tarah guzar gaye
chaar saal kis tarah guzar gaye
dil ye sochta raha
main ne kuchh nahin kaha
रात उस को ख़्वाब में देख कर
मैं ने कुछ नहीं कहा
चार साल की थकन जवाँ हुई
तिश्नगी बढ़ के बे-कराँ हुई
हाँ मगर जब आँसुओं की नर्म गर्म ताज़गी
आस-पास दिलकशी बिखर गई
और एक साया सा सिरहाने आ के थम गया
मैं ने ये कहा कि ऐ मिरे ख़ुदा
तू बड़ा रहीम है
उस का दिल दो नीम है
उस के रंग उस के हुस्न को निखार दे
उस के दिल का बोझ उतार दे
तू उसे सुकून दे मुझे जुनून दे
उस के दुख उस के दर्द छीन ले
उस के रोग मुझ को दे
मैं गुनाहगार हूँ
रात उस को ख़्वाब में देख कर
चार साल जैसे फिर उसी तरह गुज़र गए
चार साल किस तरह गुज़र गए
दिल ये सोचता रहा
मैं ने कुछ नहीं कहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khizan
our suggestion based on Mahboob Khizan
As you were reading Fantasy Shayari Shayari