main ne mehsoos kiya hai to khuli hain aankhen
main ne mehsoos kiya hai to jale hain ye charaagh
ye charaaghaan ye chaman kaise mile un se najaat
saans lene ko thehar jaao to jaadu ka hisaar
har taraf shola-zabaan naag hain fan jhoomte hain
sar uthaate hain naye raag nayi raaganiyaan
paanv padte hain gale padte hain anjaane khayal
kya mere paas magar ek thakan ek umang
ek jeene ki lagan ek mohabbat ka lahu
na andhere na ujaale se adavat hai mujhe
raat hai din hai magar mujh ko to dono se hai kaam
kaam jhoota ho to pehchaanne waale bhi kai
rang sacche bhi na hon log bura maante hain
chalti-phirti hain dareechon mein kai tasveerein
kya karoon main tiri duniya hai meri aankhen hain
raat aur din mein koi farq nahin hai aisa
main ne mehsoos kiya hai to khuli hain aankhen
main ne mehsoos kiya hai to jale hain ye charaagh
मैं ने महसूस किया है तो खुली हैं आँखें
मैं ने महसूस किया है तो जले हैं ये चराग़
ये चराग़ाँ ये चमन कैसे मिले उन से नजात
साँस लेने को ठहर जाओ तो जादू का हिसार
हर तरफ़ शोला-ज़बाँ नाग हैं फन झूमते हैं
सर उठाते हैं नए राग नई रागनियाँ
पाँव पड़ते हैं गले पड़ते हैं अनजाने ख़याल
क्या मिरे पास मगर एक थकन एक उमंग
एक जीने की लगन एक मोहब्बत का लहू
न अँधेरे न उजाले से अदावत है मुझे
रात है दिन है मगर मुझ को तो दोनों से है काम
काम झूटा हो तो पहचानने वाले भी कई
रंग सच्चे भी न हों लोग बुरा मानते हैं
चलती-फिरती हैं दरीचों में कई तस्वीरें
क्या करूँ मैं तिरी दुनिया है मिरी आँखें हैं
रात और दिन में कोई फ़र्क़ नहीं है ऐसा
मैं ने महसूस किया है तो खुली हैं आँखें
मैं ने महसूस किया है तो जले हैं ये चराग़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khizan
our suggestion based on Mahboob Khizan
As you were reading Chehra Shayari Shayari