yun to aapas mein bigadte hain khafa hote hain
milne waale kahi ulfat mein juda hote hain
hain zamaane mein ajab cheez mohabbat waale
dard khud bante hain khud apni dava hote hain
haal-e-dil mujh se na poocho meri nazrein dekho
raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain
milne ko yun to mila karti hain sab se aankhen
dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaaon pe fida hote hain
यूँ तो आपस में बिगड़ते हैं ख़फ़ा होते हैं
मिलने वाले कहीं उल्फ़त में जुदा होते हैं
हैं ज़माने में अजब चीज़ मोहब्बत वाले
दर्द ख़ुद बनते हैं ख़ुद अपनी दवा होते हैं
हाल-ए-दिल मुझ से न पूछो मिरी नज़रें देखो
राज़ दिल के तो निगाहों से अदा होते हैं
मिलने को यूँ तो मिला करती हैं सब से आँखें
दिल के आ जाने के अंदाज़ जुदा होते हैं
ऐसे हंस हंस के न देखा करो सब की जानिब
लोग ऐसी ही अदाओं पे फ़िदा होते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Majrooh Sultanpuri
our suggestion based on Majrooh Sultanpuri
As you were reading Nazar Shayari Shayari