haan tujhe be-hisaab chaaha tha | हाँ तुझे बे-हिसाब चाहा था

  - Manohar Shimpi

haan tujhe be-hisaab chaaha tha
hijr mein ik jawaab chaaha tha

husn ke rang to niraale hain
aap sa mahtaab chaaha tha

khaas milke tujhe wahan hamdam
dekhna be-hijaab chaaha tha

shokh si vo ada bataati hai
husn ko la-jawaab chaaha tha

us nazar se kahaan kabhi dekha
ishq mein phir hubaab chaaha tha

jhooth ko be-naqaab karna tha
isliye sach jawaab chaaha tha

हाँ तुझे बे-हिसाब चाहा था
हिज्र में इक जवाब चाहा था

हुस्न के रंग तो निराले हैं
आप सा माहताब चाहा था

ख़ास मिलके तुझे वहाँ हमदम
देखना बे-हिजाब चाहा था

शोख़ सी वो अदा बताती है
हुस्न को ला-जवाब चाहा था

उस नज़र से कहाँ कभी देखा
इश्क़ में फिर हुबाब चाहा था

झूठ को बे-नक़ाब करना था
इसलिए सच जवाब चाहा था

  - Manohar Shimpi

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari