apne khoye hue lamhaat ko paaya tha kabhi | अपने खोए हुए लम्हात को पाया था कभी

  - Mazhar Imam

apne khoye hue lamhaat ko paaya tha kabhi
main ne kuchh waqt tire saath guzaara tha kabhi

aap ko mere ta'aruf ki zaroorat kya hai
main wahi hoon ki jise aap ne chaaha tha kabhi

ab agar ashk umandte hain to pee jaata hoon
hausla aap ke daaman ne badhaaya tha kabhi

ab usi geet ki lai soch rahi hai duniya
main ne jo geet tiri bazm mein gaaya tha kabhi

meri ulfat ne kiya gair ko maail warna
main tiri anjuman-e-naaz mein tanhaa tha kabhi

kar diya aap ki qurbat ne bahut door mujhe
aap se bod ka ehsaas na itna tha kabhi

dost naadaan ho to dushman se bura hota hai
mujh ko apne dil-e-naadaan pe bharosa tha kabhi

अपने खोए हुए लम्हात को पाया था कभी
मैं ने कुछ वक़्त तिरे साथ गुज़ारा था कभी

आप को मेरे तआरुफ़ की ज़रूरत क्या है
मैं वही हूँ कि जिसे आप ने चाहा था कभी

अब अगर अश्क उमँडते हैं तो पी जाता हूँ
हौसला आप के दामन ने बढ़ाया था कभी

अब उसी गीत की लै सोच रही है दुनिया
मैं ने जो गीत तिरी बज़्म में गाया था कभी

मेरी उल्फ़त ने किया ग़ैर को माइल वर्ना
मैं तिरी अंजुमन-ए-नाज़ में तन्हा था कभी

कर दिया आप की क़ुर्बत ने बहुत दूर मुझे
आप से बोद का एहसास न इतना था कभी

दोस्त नादाँ हो तो दुश्मन से बुरा होता है
मुझ को अपने दिल-ए-नादाँ पे भरोसा था कभी

  - Mazhar Imam

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mazhar Imam

As you were reading Shayari by Mazhar Imam

Similar Writers

our suggestion based on Mazhar Imam

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari