khuda jaane vo kyunkar is qadar ham ko sataate hain | ख़ुदा जाने वो क्यूँकर इस क़दर हम को सताते हैं

  - Meem Maroof Ashraf

khuda jaane vo kyunkar is qadar ham ko sataate hain
sitam phir ye ki phir vo hi hamaare man ko bhaate hain

yahi dastoor hai shaayad zamaane ki mohabbat ka
jise ham pyaar karte hain wahi dil ko dukhaate hain

sambhal kar baithna tum imtihaan-e-'ishq mein sahab
ye vo parcha hai jis mein log akshar maat khaate hain

hamein tum aisa-vaisa aira-ghaira mat samajh lena
jo kuchh ham par guzrati hai wahi tumko sunaate hain

riyaazi falsafa science ye bhi theek hai lekin
kahaan ham apne bacchon ko magar urdu sikhaate hain

vo kaise log hain jo chaar din bas ishq karte hain
phir uske baad saare rishte naate bhool jaate hain

kahaan ab vo bhi hamko waqt dete hain bahut ashraf
so ham bhi shaam ko ghar jaldi waapas laut aate hain

ख़ुदा जाने वो क्यूँकर इस क़दर हम को सताते हैं
सितम फिर ये कि फिर वो ही हमारे मन को भाते हैं

यही दस्तूर है शायद ज़माने की मोहब्बत का
जिसे हम प्यार करते हैं वही दिल को दुखाते हैं

संभल कर बैठना तुम इम्तिहान-ए-'इश्क़ में साहब
ये वो पर्चा है जिस में लोग अक्सर मात खाते हैं

हमें तुम ऐसा-वैसा ऐरा-ग़ैरा मत समझ लेना
जो कुछ हम पर गुज़रती है वही तुमको सुनाते हैं

रियाज़ी फ़लसफ़ा साइंस ये भी ठीक है लेकिन
कहाँ हम अपने बच्चों को मगर उर्दू सिखाते हैं

वो कैसे लोग हैं जो चार दिन बस इश्क़ करते हैं
फिर उसके बाद सारे रिश्ते नाते भूल जाते हैं

कहाँ अब वो भी हमको वक़्त देते हैं बहुत अशरफ़
सो हम भी शाम को घर जल्दी वापस लौट आते हैं

  - Meem Maroof Ashraf

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Maroof Ashraf

As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf

Similar Writers

our suggestion based on Meem Maroof Ashraf

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari