ranj-o-aazaar dekhna hai hamein
aur lagaataar dekhna hai hamein
phir se aayegi ek subah nayi
phir se akhbaar dekhna hai hamein
tere jaisa hi kaash tujh ko mile
tujh ko beemaar dekhna hai hamein
husn ko aazma ke dekh liya
ab ke kirdaar dekhna hai hamein
aise kaise kisi ko chahe phiren
apna me'yaar dekhna hai hamein
yun hi baanhon mein jaan simti raho
saara sansaar dekhna hai hamein
hain kahaan gum sharaab aankhen tiri
khud ko sarshaar dekhna hai hamein
dhoondh kar laao mere paas use
yaaron dil-daar dekhna hai hamein
रंज-ओ-आज़ार देखना है हमें
और लगातार देखना है हमें
फिर से आएगी एक सुबह नई
फिर से अख़बार देखना है हमें
तेरे जैसा ही काश तुझ को मिले
तुझ को बीमार देखना है हमें
हुस्न को आज़मा के देख लिया
अब के किरदार देखना है हमें
ऐसे कैसे किसी को चाहे फिरें
अपना मे'यार देखना है हमें
यूँ ही बाँहों में जान सिमटी रहो
सारा संसार देखना है हमें
हैं कहाँ गुम शराब आँखें तिरी
ख़ुद को सरशार देखना है हमें
ढूँढ कर लाओ मेरे पास उसे
यारों दिल-दार देखना है हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf
our suggestion based on Meem Maroof Ashraf
As you were reading Maikashi Shayari Shayari