vo apna gham na chhipaate to aur kya karte | वो अपना ग़म न छिपाते तो और क्या करते

  - Meena Bhatt

vo apna gham na chhipaate to aur kya karte
nazar na apni jhukaate to aur kya karte

azal se dushmani pale the yaar hamse vo
hamaara dil na jalate to aur kya karte

rawaani chahti hai zindagi hamaari bhi
qadam agar na badhaate to aur kya karte

qaza jo aayi thi apne to saath lene ko
na haath usse milaate to aur kya karte

bhadak rahi thi jo aatish yahan pe nafrat kii
agar na usko bujhaate to aur kya karte

hue the khwaab hamaare sabhi mukammal yun
hina ko gar na rachaate to aur kya karte

zameer bechna aata na tha to is dil ko
ki khaali haath na aate to aur kya karte

naye qalam se likhi thi nayi ghazal meena
sunaane unko na jaate to aur kya karte

वो अपना ग़म न छिपाते तो और क्या करते
नज़र न अपनी झुकाते तो और क्या करते

अज़ल से दुश्मनी पाले थे यार हमसे वो
हमारा दिल न जलाते तो और क्या करते

रवानी चाहती है ज़िंदगी हमारी भी
क़दम अगर न बढ़ाते तो और क्या करते

क़ज़ा जो आई थी अपने तो साथ लेने को
न हाथ उससे मिलाते तो और क्या करते

भड़क रही थी जो आतिश यहाँ पे नफ़रत की
अगर न उसको बुझाते तो और क्या करते

हुए थे ख़्वाब हमारे सभी मुकम्मल यूँ
हिना को गर न रचाते तो और क्या करते

ज़मीर बेचना आता न था तो इस दिल को
कि खाली हाथ न आते तो और क्या करते

नए क़लम से लिखी थी नई ग़ज़ल 'मीना'
सुनाने उनको न जाते तो और क्या करते

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari