vo ghazal ka sher pehla aur matla ban gaye
baat jo aage badhi phir yaar maqta ban gaye
dhoop mein chaaya kabhi mera hi saaya ban gaye
vo kabhi papa kabhi bahaalne baccha ban gaye
kal talak jo daas the vo aaj aqaa ban gaye
paas mein dhela nahin tha phir bhi raja ban gaye
rokta koii nahin aur tokta koii nahin
darta saara shahr hai ab aap daada ban gaye
har taraf hai ab tabaahi dekh lo chahe jidhar
aur dhaane ko sitam sehra bhi dariya ban gaye
baat jab had se badhi phir hosh baaki tha kahaan
ham sabak dene unhen nahle pe dahla ban gaye
yah siyaasat bhi unhen keval tijaarat hi lagi
kuchh nahin ban paaye vo meena tamasha ban gaye
वो ग़ज़ल का शेर पहला और मतला बन गए
बात जो आगे बढ़ी फिर यार मक़्ता बन गए
धूप में छाया कभी मेरा ही साया बन गए
वो कभी पापा कभी बहलाने बच्चा बन गए
कल तलक जो दास थे वो आज आक़ा बन गए
पास में धेला नहीं था फिर भी राजा बन गए
रोकता कोई नहीं और टोकता कोई नहीं
डरता सारा शह्र है अब आप दादा बन गए
हर तरफ़ है अब तबाही देख लो चाहे जिधर
और ढाने को सितम सहरा भी दरिया बन गए
बात जब हद से बढ़ी फिर होश बाक़ी था कहाँ
हम सबक देने उन्हें नहले पे दहला बन गए
यह सियासत भी उन्हें केवल तिजारत ही लगी
कुछ नहीं बन पाए वो मीना तमाशा बन गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Zakhm Shayari Shayari